aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah

Wahid Premi

shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah

Wahid Premi

MORE BYWahid Premi

    shiddat-e-shauq asar-ḳhez hai jaadū tarah

    dil dhaḌkan bhī āvāz hai ghuñghrū tarah

    maiñ vo dīvāna-e-hālāt huuñ sahrā sahrā

    jo phirā kartā hai bhaTke hue aahū tarah

    jaane kis rañg meñ aa.ī hai bahārāñ ab ke

    phuul bhī zaḳhm shabnam bhī hai aañsū tarah

    vo jo amvāj-e-havādis meñ haiñ palne vaale

    un ko tūfāñ nazar aatā hai lab-e-jū tarah

    gum-rah-e-shauq ko hamrāh dikhāne ke liye

    zulmat-e-shab meñ chamakte rahe jugnū tarah

    fikr-o-fan na.e gul-daste sajā kar 'vāhid'

    aao bas jaa.eñ har ik zehn meñ ḳhushbū tarah

    shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah

    dil ki dhaDkan ki bhi aawaz hai ghunghru ki tarah

    main wo diwana-e-haalat hun sahra sahra

    jo phira karta hai bhaTke hue aahu ki tarah

    jaane kis rang mein aai hai bahaaran ab ke

    phul bhi zaKHm sa shabnam bhi hai aansu ki tarah

    wo jo amwaj-e-hawadis mein hain palne wale

    un ko tufan nazar aata hai lab-e-ju ki tarah

    gum-rah-e-shauq ko hamrah dikhane ke liye

    zulmat-e-shab mein chamakte rahe jugnu ki tarah

    fikr-o-fan ki nae gul-daste saja kar 'wahid'

    aao bas jaen har ek zehn mein KHushbu ki tarah

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 525)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now