Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikayat karen kya shikayat se kya ho

Zohheb Farooqui Afrang

shikayat karen kya shikayat se kya ho

Zohheb Farooqui Afrang

MORE BYZohheb Farooqui Afrang

    shikāyat kareñ kyā shikāyat se kyā ho

    agar jañg lāzim hai to hausla ho

    bashar to itnā na dil saaf hogā

    tum insāñ sūrat meñ jaise ḳhudā ho

    ye sarkash samundar nikal pāoge jab

    junūñ saañs lene sar par chaḌhā ho

    mohabbat meñ ho to bas itnā kahūñgā

    maza chaar din hai lambī sazā ho

    koī har musībat se ham ko nikāle

    asar kar rahī dostoñ duā ho

    ye parvāz ḳhvāb achchhā hai lekin

    zarā pahle qadmoñ pe apne khaḌā ho

    siyāsat se ham ko tumheñ kyā milegā

    ye dhanda hai jis usī bhalā ho

    tabassum ki pīchhe kahīñ kuchh chhupā hai

    hameñ sab patā hai tum ham se ḳhafā ho

    abhī jo bhī miltā hai taslīm kar lo

    phir aage safar meñ na jaane ki kyā ho

    shikayat karen kya shikayat se kya ho

    agar jang lazim hai to hausla ho

    bashar ka to itna na dil saf hoga

    tum insan ki surat mein jaise KHuda ho

    ye sarkash samundar nikal paoge jab

    junun sans lene ka sar par chaDha ho

    mohabbat mein ho to bas itna kahunga

    maza chaar din ka hai lambi saza ho

    koi har musibat se hum ko nikale

    asar kar rahi doston ki dua ho

    ye parwaz ka KHwab achchha hai lekin

    zara pahle qadmon pe apne khaDa ho

    siyasat se hum ko tumhein kya milega

    ye dhanda hai jis ka usi ka bhala ho

    tabassum ki pichhe kahin kuchh chhupa hai

    hamein sab pata hai tum hum se KHafa ho

    abhi jo bhi milta hai taslim kar lo

    phir aage safar mein na jaane ki kya ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now