Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikayaten na zamin se na aasman se hain

Rahman Khawar

shikayaten na zamin se na aasman se hain

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    shikāyateñ na zamīñ se na āsmān se haiñ

    ki ek 'umr se ham log be-zabān se haiñ

    na ho jo shahr mānind būd-o-bāsh nahīñ

    yahī bahut hai ki sahrā meñ ham amaan se haiñ

    mirī tarah hadaf-e-ahd be-yaqīnī haiñ

    ḳhud apne-āp se jo log bad-gumān se haiñ

    ajiib haiñ tire kūche meñ basne vaale bhī

    zamīñ pe rahte haiñ vābasta āsmān se haiñ

    visāl-o-hijr ye tohmateñ saheñ kab tak

    ham ahl-e-ishq ki bezār apnī jaan se haiñ

    ye mo'jiza bhī ajab hai tire ta.alluq

    jo log dushman-e-jāñ the vo mehrbān se haiñ

    sulūk-e-ahl-e-jahāñ dil pe naqsh hai 'ḳhāvar'

    jahāñ the zaḳhm vahāñ aaj bhī nishān se haiñ

    shikayaten na zamin se na aasman se hain

    ki ek 'umr se hum log be-zaban se hain

    na ho jo shahr ki manind bud-o-bash nahin

    yahi bahut hai ki sahra mein hum aman se hain

    meri tarah hadaf-e-ahd be-yaqini hain

    KHud apne-ap se jo log bad-guman se hain

    ajib hain tere kuche mein basne wale bhi

    zamin pe rahte hain wabasta aasman se hain

    visal-o-hijr ki ye tohmaten sahen kab tak

    hum ahl-e-ishq ki bezar apni jaan se hain

    ye mo'jiza bhi ajab hai tere talluq ka

    jo log dushman-e-jaan the wo mehrban se hain

    suluk-e-ahl-e-jahan dil pe naqsh hai 'KHawar'

    jahan the zaKHm wahan aaj bhi nishan se hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now