aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun

Ravish Siddiqi

shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun

Ravish Siddiqi

MORE BYRavish Siddiqi

    shikast-e-rañg-e-tamannā ko arz-e-hāl kahūñ

    sukūt-e-lab ko taqāzā-e-sad-savāl kahūñ

    hazār ruḳh tire milne ke haiñ na milne meñ

    kise firāq kahūñ aur kise visāl kahūñ

    mujhe yaqīñ hai ki kuchh bhī chhupā nahīñ un se

    unheñ ye zid ki dil-e-mubtalā haal kahūñ

    be-misāl sahī phir bhī dil ko hai isrār

    adā adā ko tirī ālam-e-misāl kahūñ

    mizāj-e-mahfil-e-gītī agar na barham ho

    to rañg-e-aish ko gard-e-ruḳh-e-malāl kahūñ

    havā ke dosh pe hai ek shola-e-larzāñ

    kahūñ to kyā tirī tahzīb ma.aal kahūñ

    vo ek ḳhvāb jo tāmīr aap hai apnī

    maiñ kyā haqīqat-e-rānā.i-e-ḳhayāl kahūñ

    ġhazal baat rahegī vahīñ agar sau baar

    javāb-e-shoḳhī o rānā.i-e-ġhazāl kahūñ

    'ravish' ye sādgi-e-ishq taqāzā hai

    kamāl-e-hosh ko iḳhlās zavāl kahūñ

    shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun

    sukut-e-lab ko taqaza-e-sad-sawal kahun

    hazar ruKH tere milne ke hain na milne mein

    kise firaq kahun aur kise visal kahun

    mujhe yaqin hai ki kuchh bhi chhupa nahin un se

    unhen ye zid ki dil-e-mubtala ka haal kahun

    tu be-misal sahi phir bhi dil ko hai israr

    ada ada ko teri aalam-e-misal kahun

    mizaj-e-mahfil-e-giti agar na barham ho

    to rang-e-aish ko gard-e-ruKH-e-malal kahun

    hawa ke dosh pe hai ek shola-e-larzan

    kahun to kya teri tahzib ka maal kahun

    wo ek KHwab jo tamir aap hai apni

    main kya haqiqat-e-ranai-e-KHayal kahun

    ghazal ki baat rahegi wahin agar sau bar

    jawab-e-shoKHi o ranai-e-ghazal kahun

    'rawish' ye sadgi-e-ishq ka taqaza hai

    kamal-e-hosh ko iKHlas ka zawal kahun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now