Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast-e-sham ka manzar bhari bahaar mein tha

Momin Khan Shauq

shikast-e-sham ka manzar bhari bahaar mein tha

Momin Khan Shauq

MORE BYMomin Khan Shauq

    shikast-e-shām manzar bharī bahār meñ thā

    maiñ apne ghar meñ bhī rah kar kisī hisār meñ thā

    maiñ ik ġharīb vo lākhoñ ke kārobār meñ thā

    mirā vajūd magar phir bhī iḳhtiyār meñ thā

    kiyā hai apne logoñ ne pā.emāl mujhe

    gilā ho kis se ki maiñ ḳhud e.atibār meñ thā

    bahār jagah kaise ḳhizāñ chalī aa.ī

    numū hausla jab shāḳh-e-barg-o-bār meñ thā

    nikal sakā na vo zulmāt kashākash se

    sahar ke vāste vo kab se intizār meñ thā

    jo apnī zaat meñ ik anjuman rahā ai 'shauq'

    bikhar gayā to vo yādoñ rahguzār meñ thā

    shikast-e-sham ka manzar bhari bahaar mein tha

    main apne ghar mein bhi rah kar kisi hisar mein tha

    main ek gharib wo lakhon ke karobar mein tha

    mera wajud magar phir bhi iKHtiyar mein tha

    kiya hai apne hi logon ne paemal mujhe

    gila ho kis se ki main KHud hi eatibar mein tha

    bahaar ki jagah kaise KHizan chali aai

    numu ka hausla jab shaKH-e-barg-o-bar mein tha

    nikal saka na wo zulmat ki kashakash se

    sahar ke waste wo kab se intizar mein tha

    jo apni zat mein ek anjuman raha ai 'shauq'

    bikhar gaya to wo yaadon ki rahguzar mein tha

    Source:

    Nishat-e-Aarzu (Pg. 27)

    • Author: Momin Khan Shauq
      • Publisher: Ejaz Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now