Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta chhat na sahi aasman rahne de

Mumtaz Rashid

shikasta chhat na sahi aasman rahne de

Mumtaz Rashid

MORE BYMumtaz Rashid

    shikasta chhat na sahī āsmān rahne de

    kaḌā hai vaqt koī sā.ebān rahne de

    kuchh aur tañg na ho jaa.e jañgaloñ hisār

    fasīl-e-shahr abhī darmiyān rahne de

    qarīb-e-shahr pahuñch kar ġhubār-e-rāh na jhaaḌ

    thake badan pe safar nishān rahne de

    na chhīn mujh se mire roz-o-shab ke hañgāme

    maiñ rahā huuñ mujhe ye gumān rahne de

    bhaḌak uThe na samundar tishnagī 'rāshid'

    mirā lahū bhī sar-e-bādbān rahne de

    shikasta chhat na sahi aasman rahne de

    kaDa hai waqt koi saeban rahne de

    kuchh aur tang na ho jae jangalon ka hisar

    fasil-e-shahr abhi darmiyan rahne de

    qarib-e-shahr pahunch kar ghubar-e-rah na jhaD

    thake badan pe safar ka nishan rahne de

    na chhin mujh se mere roz-o-shab ke hangame

    main ji raha hun mujhe ye guman rahne de

    bhaDak uThe na samundar ki tishnagi 'rashid'

    mera lahu bhi sar-e-baadban rahne de

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 505)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now