Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta jism darida jabin ki jaanib

Shahid Kamal

shikasta jism darida jabin ki jaanib

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    shikasta jism darīda jabīn jānib

    kabhī to dekh mire ham-nashīn jānib

    maiñ apnā zaḳhm dikhā.ūñ tujhe ki maiñ dekhūñ

    lahū meñ Duubī huī āstīn jānib

    in āsmān-mizājoñ se hai balā gurez

    palaT rahā huuñ maiñ apnī zamīn jānib

    kuchh apne harf ke motī kuchh apne lafz ke phuul

    uchhāl aaya huuñ us nāznīn jānib

    kisī chashm ta.āqub zad meñ rahtā huuñ

    maiñ dekhtā huuñ jab us mah-jabīn jānib

    ḳhud apne hone pe mujh ko yaqīn hai lekin

    maiñ dekhtā huuñ gumāñ se yaqīn jānib

    masāf-e-jāñ meñ khaḌā huuñ mire adū se kaho

    vo dekhtā hai yasār-o-yamīn jānib

    kisī ne thaam baḌh kar mire faras rikāb

    kisī ne haath baḌhāyā thā ziin jānib

    ḳhud apne fan ye 'shāhid' kamāl hai naqqād

    vo dekhtā nahīñ nāqidīn jānib

    shikasta jism darida jabin ki jaanib

    kabhi to dekh mere ham-nashin ki jaanib

    main apna zaKHm dikhaun tujhe ki main dekhun

    lahu mein Dubi hui aastin ki jaanib

    in aasman-mizajon se hai bala ka gurez

    palaT raha hun main apni zamin ki jaanib

    kuchh apne harf ke moti kuchh apne lafz ke phul

    uchhaal aaya hun us naznin ki jaanib

    kisi ki chashm taaqub ki zad mein rahta hun

    main dekhta hun jab us mah-jabin ki jaanib

    KHud apne hone pe mujh ko yaqin hai lekin

    main dekhta hun guman se yaqin ki jaanib

    masaf-e-jaan mein khaDa hun mere adu se kaho

    wo dekhta hai yasar-o-yamin ki jaanib

    kisi ne tham li baDh kar mere faras ki rikab

    kisi ne hath baDhaya tha zin ki jaanib

    KHud apne fan ka ye 'shahid' kamal hai naqqad

    wo dekhta hi nahin naqidin ki jaanib

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now