Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi

Anwar Feroz

shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi

Anwar Feroz

MORE BYAnwar Feroz

    shikasta-pā sahī duur sadā sahī

    bikhar gayā jo havā se vo naqsh-e-pā sahī

    ye hukm hai ki ga.e mausamoñ ko yaad karūñ

    na.ī rutoñ tajassus mujhe milā sahī

    zamīñ ke ba.ad abhī āsmāñ ke dukh bhī sahūñ

    mire liye ye sazā hai baḌī atā sahī

    charāġh kah ke mirā nuur mujh se chhīn liyā

    charāġh phir bhī rahūñgā bujhā huā sahī

    sajā liye haiñ masā.ib ke niir āñkhoñ meñ

    sukūñ niiñd nahīñ hai to ratjagā sahī

    ai dhaḌkanoñ ko nayā nuur baḳhshne vaale

    maiñ nuur se tahī mirī ḳhatā sahī

    haqīqatoñ ke badan par koī labāda nahīñ

    agar ye sach sazā hai to phir sazā sahī

    ye dil karb laboñ tak kabhī na aa.egā

    mire liye ye ḳhamoshī irtiqā sahī

    jahāñ ke dard ko 'anvār' ne sameT liyā

    maiñ ik ḳhushī tamannā meñ mar-miTā sahī

    shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi

    bikhar gaya jo hawa se wo naqsh-e-pa hi sahi

    ye hukm hai ki gae mausamon ko yaad karun

    nai ruton ka tajassus mujhe mila hi sahi

    zamin ke baad abhi aasman ke dukh bhi sahun

    mere liye ye saza hai baDi ata hi sahi

    charagh kah ke mera nur mujh se chhin liya

    charagh phir bhi rahunga bujha hua hi sahi

    saja liye hain masaib ke nir aankhon mein

    sukun ki nind nahin hai to ratjaga hi sahi

    ai dhaDkanon ko naya nur baKHshne wale

    main nur se hi tahi tu meri KHata hi sahi

    haqiqaton ke badan par koi labaada nahin

    agar ye sach ki saza hai to phir saza hi sahi

    ye dil ka karb labon tak kabhi na aaega

    mere liye ye KHamoshi ka irtiqa hi sahi

    jahan ke dard ko 'anwar' ne sameT liya

    main ek KHushi ki tamanna mein mar-miTa hi sahi

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 364)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now