Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai

Mohammad Amir Alvi Amir

shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai

Mohammad Amir Alvi Amir

MORE BYMohammad Amir Alvi Amir

    shikasta-par hai ye ūñchī uḌaan rakhtā hai

    parinda hai to parinde shaan rakhtā hai

    bahut būḌhā sahī par isī shajar se ghar

    tamām shahr meñ ik ān-bān rakhtā hai

    ajab chiiz hai āñchal bhī maañ ai logo

    ki sar to jaise koī āsmān rakhtā hai

    vo shaḳhs jo mire har faisle thā pāband

    savāliya mire aage nishān rakhtā hai

    huī hai bāloñ chāñdī se baat ye raushan

    vo pā-e-umr sar par takān rakhtā hai

    vo shohratoñ ke bayābāñ meñ Thahrā lā-sānī

    ki sarv se kahīñ baḌh kar uThān rakhtā hai

    agarche va.ada nahīñ phir bhī jaane kyoñ 'āmir'

    ye dil usī aahaT pe kaan rakhtā hai

    shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai

    parinda hai to parinde ki shan rakhta hai

    bahut hi buDha sahi par isi shajar se ghar

    tamam shahr mein ek aan-ban rakhta hai

    ajab hi chiz hai aanchal bhi man ka ai logo

    ki sar to jaise koi aasman rakhta hai

    wo shaKHs jo mere har faisle ka tha paband

    sawaliya mere aage nishan rakhta hai

    hui hai baalon ki chandi se baat ye raushan

    wo pa-e-umr ki sar par takan rakhta hai

    wo shohraton ke bayaban mein Thahra la-sani

    ki sarw se kahin baDh kar uThan rakhta hai

    agarche wada nahin phir bhi jaane kyon 'amir'

    ye dil usi ki hi aahaT pe kan rakhta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now