Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwa-e-kasrat-e-bedad karun ya na karun

Akhtar Madhupuri

shikwa-e-kasrat-e-bedad karun ya na karun

Akhtar Madhupuri

MORE BYAkhtar Madhupuri

    shikva-e-kasrat-e-bedād karūñ na karūñ

    ḳhātir-e-husn ko nāshād karūñ na karūñ

    dil-e-barbād ko ābād karūñ na karūñ

    sochtā huuñ ki tujhe yaad karūñ na karūñ

    āsmāñ mujh se hirāsāñ rahā kartā hai

    ḳhvāh maiñ nāla-o-fariyād karūñ na karūñ

    ḳhud bhī sayyād pareshāñ hai mujhe kar ke asiir

    sochtā hai ise āzād karūñ na karūñ

    jaur-e-gulchīñ hai ki baḌhtā chalā jaatā hai

    jaur-e-gulchīñ pe maiñ fariyād karūñ na karūñ

    mausam-e-gul hasīñ shaam hai mai-ḳhāna-ba-dosh

    saaqī aise meñ tujhe yaad karūñ na karūñ

    zindagī kaif-ba-dāmāñ thī mirī jab 'aḳhtar'

    ab vo biite hue din yaad karūñ na karūñ

    shikwa-e-kasrat-e-bedad karun ya na karun

    KHatir-e-husn ko nashad karun ya na karun

    dil-e-barbaad ko aabaad karun ya na karun

    sochta hun ki tujhe yaad karun ya na karun

    aasman mujh se hirasan hi raha karta hai

    KHwah main nala-o-fariyaad karun ya na karun

    KHud bhi sayyaad pareshan hai mujhe kar ke asir

    sochta hai ise aazad karun ya na karun

    jaur-e-gulchin hai ki baDhta hi chala jata hai

    jaur-e-gulchin pe main fariyaad karun ya na karun

    mausam-e-gul ki hasin sham hai mai-KHana-ba-dosh

    saqi aise mein tujhe yaad karun ya na karun

    zindagi kaif-ba-daman thi meri jab 'aKHtar'

    ab wo bite hue din yaad karun ya na karun

    Source:

    Barq-o-Sharar (Pg. 7)

    • Author: Akhtar Madhupuri
      • Publisher: Mohammad Inam-ul-Haq Inam
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now