Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka

Syed Hamid

shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka

Syed Hamid

MORE BYSyed Hamid

    shikva gar kiije to hotā hai gumāñ taqsīr

    har jafā se baab khultā hai nayā ta.azīr

    us se paiham guftugū kiije kabhī barham na ho

    asl par bhārī hai pahlū aap tasvīr

    dil ke dar pe haiñ ye donoñ rishta-e-ham-sā.egī

    gesū-e-shab-gīr se hai fikr dāman-gīr

    jaur se ghabrāne vaale ham nahīñ haiñ dekhiye

    hausla kab tak javāñ rahtā hai charḳh-e-pīr

    kis liye ḳhvāb-e-zuleḳhā tishna-e-ta.abīr hai

    misr meñ shohra bahut yuuñ to huā ta.abīr

    gholte haiñ kis liye vo chashma-e-haivāñ meñ zahr

    kaam lete haiñ tabassum se vo kyuuñ tahqīr

    kaash merī kah rahe haiñ sabza-o-dasht-o-daman

    lāla-o-barg-o-saman aalam hai ye kashmīr

    naaz se dekhā hai ḳhāliq ne miTāte bārhā

    nāḳhun-e-tadbīr ko likkhā huā taqdīr

    ḳhaak se kar ḳhāksārī se riyāzat se araq

    aarzū aañch de nusḳha hai ye iksīr

    hasratoñ se is tarah rah rah ke hotī hai ḳhalish

    TuuT jaa.e lag ke dil meñ jaise paikāñ tiir

    sher meñ 'iqbāl' shaidā hai 'ġhālib' asiir

    'hāmid'-e-be-bahra-go munkir nahīñ hai miir

    shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka

    har jafa se bab khulta hai naya tazir ka

    us se paiham guftugu kije kabhi barham na ho

    asl par bhaari hai pahlu aap ki taswir ka

    dil ke dar pe hain ye donon rishta-e-ham-saegi

    gesu-e-shab-gir se hai fikr daman-gir ka

    jaur se ghabrane wale hum nahin hain dekhiye

    hausla kab tak jawan rahta hai charKH-e-pir ka

    kis liye KHwab-e-zuleKHa tishna-e-tabir hai

    misr mein shohra bahut yun to hua tabir ka

    gholte hain kis liye wo chashma-e-haiwan mein zahr

    kaam lete hain tabassum se wo kyun tahqir ka

    kash meri kah rahe hain sabza-o-dasht-o-daman

    lala-o-barg-o-saman aalam hai ye kashmir ka

    naz se dekha hai KHaliq ne miTate barha

    naKHun-e-tadbir ko likkha hua taqdir ka

    KHak se kar KHaksari se riyazat se araq

    aarzu ki aanch de nusKHa hai ye iksir ka

    hasraton se is tarah rah rah ke hoti hai KHalish

    TuT jae lag ke dil mein jaise paikan tir ka

    sher mein 'iqbaal' ka shaida hai 'ghaalib' ka asir

    'hamid'-e-be-bahra-go munkir nahin hai mir ka

    Source:

    Lamhaat (Pg. 55)

    • Author: Syed Hamid
      • Edition: 1987
      • Publisher: Taj Compnay, Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now