shikwa na shikayat na koi us se gila hai
shikva na shikāyat na koī us se gila hai
garche vo mujhe aaj rulā kar ke gayā hai
ḳhush huuñ ki mujhe aur bhī ūñchā hī karegā
nīchā jo mujhe roz dikhāne meñ lagā hai
ik maiñ huuñ ki is baar bhī tanhā hī laḌā huuñ
ik vo hai ki phir bhiiḌ juTā kar ke chalā hai
saaya mirī dīvār kā us paar talak thā
sūraj mirī dīvār girā kar ke uThā hai
is samt mirī aañkh meñ chubhtā hai abhī tak
us samt vo ik ḳhvāb mukammal jo huā hai
shikwa na shikayat na koi us se gila hai
garche wo mujhe aaj rula kar ke gaya hai
KHush hun ki mujhe aur bhi uncha hi karega
nicha jo mujhe roz dikhane mein laga hai
ek main hun ki is bar bhi tanha hi laDa hun
ek wo hai ki phir bhiD juTa kar ke chala hai
saya meri diwar ka us par talak tha
suraj meri diwar gira kar ke uTha hai
is samt meri aankh mein chubhta hai abhi tak
us samt wo ek KHwab mukammal jo hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.