Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwa nahin hai is ka ki tumne bhula diya

Ishrat Kiratpuri

shikwa nahin hai is ka ki tumne bhula diya

Ishrat Kiratpuri

MORE BYIshrat Kiratpuri

    shikva nahīñ hai is ki tum ne bhulā diyā

    achchhā kiyā ki raah patthar haTā diyā

    ġham ko nashāt-e-zīst unvāñ banā diyā

    us ne mirī vafā ajab sila diyā

    yuuñ hans ke us ne toḌ diyā rishta-e-ummīd

    jaise kisī ne ret pe likkhā miTā diyā

    duniyā kam-nigāhī ke shikve ke saath saath

    ye sochiye ki aap ne duniyā ko kyā diyā

    kuchh ham shab-gazīda ujāloñ se Dar ga.e

    duniyā ne to adab se hameñ rāsta diyā

    maiñ vo charāġh-e-bazm-e-tamannā huuñ dosto

    jis ko sahar se pahle havā ne bujhā diyā

    shikwa nahin hai is ka ki tum ne bhula diya

    achchha kiya ki rah ka patthar haTa diya

    gham ko nashat-e-zist ka unwan bana diya

    us ne meri wafa ka ajab sa sila diya

    yun hans ke us ne toD diya rishta-e-ummid

    jaise kisi ne ret pe likkha miTa diya

    duniya ki kam-nigahi ke shikwe ke sath sath

    ye sochiye ki aap ne duniya ko kya diya

    kuchh hum hi shab-gazida ujalon se Dar gae

    duniya ne to adab se hamein rasta diya

    main wo charagh-e-bazm-e-tamanna hun dosto

    jis ko sahar se pahle hawa ne bujha diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now