shola hai phul-phul chaman tak na aaiyo
sho'la hai phūl-phūl chaman tak na aa.iyo
shādābī-e-bahār se dhokā na khā.iyo
muddat huī vo kū-e-malāmat ujaḌ gayā
ab ke baras charāġh-e-vafā mat jalā.iyo
dāman se ham ne gard-e-ta'alluq bhī jhaaḌ dī
āsūdgān-e-hijr ke ab muñh na aa.iyo
in muskurāhaToñ meñ dabī hai ġhamoñ kī aañch
chehre ke ruup rang se dhokā na khā.iyo
itne bure to jī ke nahīñ zūd-ranj log
āshuftagān-e-shauq pe tohmat na lā.iyo
patthar na Daal de koī jholī meñ din Dhale
'māhir' faqīr ban ke sadā mat lagā.iyo
sho'la hai phul-phul chaman tak na aaiyo
shadabi-e-bahaar se dhoka na khaiyo
muddat hui wo ku-e-malamat ujaD gaya
ab ke baras charagh-e-wafa mat jalaiyo
daman se hum ne gard-e-ta'alluq bhi jhaD di
aasudgan-e-hijr ke ab munh na aaiyo
in muskurahaTon mein dabi hai ghamon ki aanch
chehre ke rup rang se dhoka na khaiyo
itne bure to ji ke nahin zud-ranj log
aashuftagan-e-shauq pe tohmat na laiyo
patthar na Dal de koi jholi mein din Dhale
'mahir' faqir ban ke sada mat lagaiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.