Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai

Shiv Charan Das Goyal Zabt

shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai

Shiv Charan Das Goyal Zabt

MORE BYShiv Charan Das Goyal Zabt

    sho.ala-ḳhez-o-sho.ala-var ab har rah-e-tadbīr hai

    zindagī goyā chitā boltī tasvīr hai

    dekh kar sehn-e-chaman ko ye gumāñ hone lagā

    goyā khiñchne ko na.ī phir koī tasvīr hai

    āshiyāñ zindagī se ho chalā hai dil uchāT

    phir vahī shauq-e-shahādat dil dāman-gīr hai

    aaj az-rāh-e-karam bhar de labālab sāqiyā

    zauq-e-mai-noshī mirā phir maujib-e-ta.azīr hai

    aa rahī hai kaan meñ tauq-o-salāsil sadā

    naġhma-bar-andāz phir se naġhma-e-zanjīr hai

    kashtiyāñ mauj-e-havādis se na Takrā.eñ kahīñ

    nāḳhudā ḳhvāb jaise tishna-e-ta.abīr hai

    'zabt' hālat pe rotā hai zamāna dekhiye

    fasl-e-gul par rū-e-shabnam us ye taqdīr hai

    shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai

    zindagi goya chita ki bolti taswir hai

    dekh kar sehn-e-chaman ko ye guman hone laga

    goya khinchne ko nai si phir koi taswir hai

    aashiyan ki zindagi se ho chala hai dil uchaT

    phir wahi shauq-e-shahadat dil ka daman-gir hai

    aaj az-rah-e-karam bhar de labaalab saqiya

    zauq-e-mai-noshi mera phir maujib-e-tazir hai

    aa rahi hai kan mein tauq-o-salasil ki sada

    naghma-bar-andaz phir se naghma-e-zanjir hai

    kashtiyan mauj-e-hawadis se na Takraen kahin

    naKHuda ka KHwab jaise tishna-e-tabir hai

    'zabt' ki haalat pe rota hai zamana dekhiye

    fasl-e-gul par ru-e-shabnam us ki ye taqdir hai

    Source :
    • Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 206)
    • Publication : Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now