shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do
sho.ala thā jal-bujhā huuñ havā.eñ mujhe na do
maiñ kab kā jā chukā huuñ sadā.eñ mujhe na do
jo zahr pī chukā huuñ tumhīñ ne mujhe diyā
ab tum to zindagī kī duā.eñ mujhe na do
ye bhī baḌā karam hai salāmat hai jism abhī
ai ḳhusravān-e-shahr qabā.eñ mujhe na do
aisā na ho kabhī ki palaT kar na aa sakūñ
har baar duur jā ke sadā.eñ mujhe na do
kab mujh ko e'tirāf-e-mohabbat na thā 'farāz'
kab maiñ ne ye kahā hai sazā.eñ mujhe na do
shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadaen mujhe na do
jo zahr pi chuka hun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do
ye bhi baDa karam hai salamat hai jism abhi
ai KHusrawan-e-shahr qabaen mujhe na do
aisa na ho kabhi ki palaT kar na aa sakun
har bar dur ja ke sadaen mujhe na do
kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraaz'
kab main ne ye kaha hai sazaen mujhe na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.