Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shoalon mein gham-e-zat ki jhulsaya hua sa

Mehboob Rahi

shoalon mein gham-e-zat ki jhulsaya hua sa

Mehboob Rahi

MORE BYMehboob Rahi

    sho.aloñ meñ ġham-e-zāt jhulsāyā huā

    har paikar-e-ehsās hai murjhāyā huā

    har shaḳhs hai auhām ke aaseb ke hāthoñ

    sahmā huā simTā huā ghabrāyā huā

    har zehn jo firdaus-e-taḳhayyul thā kisī din

    lagtā hai jahannum koī dahkāyā huā

    sadiyoñ se maiñ jiine sazā kaaT rahā huuñ

    sāñsoñ salīboñ pe huuñ laTkāyā huā

    har shaḳhs hai be-mehrī-e-hālāt se har-dam

    rūThā huā biphrā huā jhallāyā huā

    sahrāoñ meñ nafrat ke bhaTaktā huuñ musalsal

    do ghūñT ko chāhat ke huuñ tarsāyā huā

    kyā pā.egā phir vus.at-e-afkār ki 'rāhī'

    roTī ke jhameloñ meñ hai uljhāyā huā

    shoalon mein gham-e-zat ki jhulsaya hua sa

    har paikar-e-ehsas hai murjhaya hua sa

    har shaKHs hai auham ke aaseb ke hathon

    sahma hua simTa hua ghabraya hua sa

    har zehn jo firdaus-e-taKHayyul tha kisi din

    lagta hai jahannum koi dahkaya hua sa

    sadiyon se main jine ki saza kaT raha hun

    sanson ki salibon pe hun laTkaya hua sa

    har shaKHs hai be-mehri-e-haalat se har-dam

    ruTha hua biphra hua jhallaya hua sa

    sahraon mein nafrat ke bhaTakta hun musalsal

    do ghunT ko chahat ke hun tarsaya hua sa

    kya paega phir wusat-e-afkar ki 'rahi'

    roTi ke jhamelon mein hai uljhaya hua sa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now