Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shohrat hai meri suKHan-wari ki

Meer Kallu Arsh

shohrat hai meri suKHan-wari ki

Meer Kallu Arsh

MORE BYMeer Kallu Arsh

    shohrat hai merī suḳhan-varī

    hindī meñ hai tarz fārsī

    kyuuñ zikr-e-visāl se ḳhafā ho

    ye baat to hai hañsī-ḳhushī

    allāh re nazākat-e-lab-e-yār

    but-ḳhāne paḌe jo mai-kashī

    shikva na karūñ maiñ tā-lab-e-gor

    dushman bhī kahe ki dostī

    ho dīda-e-mehr shabnam-afshāñ

    hālat jo dikhā.ūñ be-kasī

    jab maut kisī tarah na aa.e

    ghabrā kar ham ne āshiqī

    ḳhāmosh ho sham.a rote rote

    taqrīr karūñ jo ḳhāmushī

    ai maut azaab se chhuḌāyā

    is qaid se ne muḳhlisī

    bulbul ko kiyā asīr-e-gul-dām

    sayyād ne ḳhuub munsifī

    dekhā jo vo rashk-e-māh-e-kan.āñ

    rañgat huī zar-dastarī

    pahuñche na ba-rañg-e-shāna zulf

    kyā baḳht-e-siyah ne kotāhī

    dozaḳh tarah jaleñ na zāhid

    jannat meñ bhī ham ne mai-kashī

    naale kiye chupke chupke ro.e

    kyā kyā ġham yaar ḳhushī

    ġhūloñ ne lahad pe huuñ vo vahshī

    āñkhoñ se aa ke raushnī

    ai 'arsh' ḳhudā-o-but ahad haiñ

    mushrik ko samā.ī hai duī

    shohrat hai meri suKHan-wari ki

    hindi mein hai tarz farsi ki

    kyun zikr-e-visal se KHafa ho

    ye baat to hai hansi-KHushi ki

    allah re nazakat-e-lab-e-yar

    but-KHane paDe jo mai-kashi ki

    shikwa na karun main ta-lab-e-gor

    dushman bhi kahe ki dosti ki

    ho dida-e-mehr shabnam-afshan

    haalat jo dikhaun be-kasi ki

    jab maut kisi tarah na aae

    ghabra kar hum ne aashiqi ki

    KHamosh ho shama rote rote

    taqrir karun jo KHamushi ki

    ai maut azab se chhuDaya

    is qaid se tu ne muKHlisi ki

    bulbul ko kiya asir-e-gul-dam

    sayyaad ne KHub munsifi ki

    dekha jo wo rashk-e-mah-e-kanan

    rangat hui zar-dastari ki

    pahunche na ba-rang-e-shana ta zulf

    kya baKHt-e-siyah ne kotahi ki

    dozaKH ki tarah jalen na zahid

    jannat mein bhi hum ne mai-kashi ki

    nale kiye chupke chupke roe

    kya kya gham yar ki KHushi ki

    ghulon ne lahad pe hun wo wahshi

    aankhon se aa ke raushni ki

    ai 'arsh' KHuda-o-but ahad hain

    mushrik ko samai hai dui ki

    Source:

    Deewan-e-Arsh (Pg. ebook-187 page-188)

    • Author: Meer Kallu Arsh
      • Edition: 1987
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now