aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shoKH the rang har ek daur mein afsanon ke

Mukhtar Siddiqui

shoKH the rang har ek daur mein afsanon ke

Mukhtar Siddiqui

MORE BYMukhtar Siddiqui

    shoḳh the rañg har ik daur meñ afsānoñ ke

    dil dhaḌakte rahe aas meñ insānoñ ke

    ilm ne ḳhair na chāhī kabhī insānoñ

    zarre barbād yūñhī to nahīñ vīrānoñ ke

    rāheñ shahroñ se guzartī rahīñ vīrānoñ

    naqsh milte rahe ka.abe meñ sanam-ḳhānoñ ke

    zindagī vālā-o-shaidā rahī farzānoñ

    naam raushan hue har daur meñ dīvānoñ ke

    maryamī morid-e-tohmat rahī armānoñ

    TukḌe ik daftar-e-ilzām haiñ dāmānoñ ke

    fikr sab ko hai rafū ke liye sāmānoñ

    pūchhtā koī nahīñ haal girebānoñ ke

    qadr kuchh kam to nahīñ ab bhī tan-āsānoñ

    roz o shab aaj bhī bhārī haiñ girāñ-jānoñ ke

    shoKH the rang har ek daur mein afsanon ke

    dil dhaDakte hi rahe aas mein insanon ke

    ilm ne KHair na chahi kabhi insanon ki

    zarre barbaad yunhi to nahin viranon ke

    rahen shahron se guzarti rahin viranon ki

    naqsh milte rahe kabe mein sanam-KHanon ke

    zindagi wala-o-shaida rahi farzanon ki

    nam raushan hue har daur mein diwanon ke

    maryami morid-e-tohmat rahi armanon ki

    TukDe ek daftar-e-ilzam hain damanon ke

    fikr sab ko hai rafu ke liye samanon ki

    puchhta koi nahin haal girebanon ke

    qadr kuchh kam to nahin ab bhi tan-asanon ki

    roz o shab aaj bhi bhaari hain giran-jaanon ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now