aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hail thi bich mein jo razai tamam shab

Hasrat Mohani

hail thi bich mein jo razai tamam shab

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    haa.il thī biich meñ jo razā.ī tamām shab

    is ġham se ham ko niiñd na aa.ī tamām shab

    yaas se havas ne laḌā.ī tamām shab

    tum ne to ḳhuub raah dikhā.ī tamām shab

    phir bhī to ḳhatm ho na sakī aarzū baat

    har chand ham ne un ko sunā.ī tamām shab

    bebāk milte jo hue ham to sharm se

    aañkh us parī ne phir na milā.ī tamām shab

    dil ḳhuub jāntā hai ki tum kis ḳhayāl se

    karte rahe adū burā.ī tamām shab

    phir shaam se kyuuñ vo chale the chhuḌā ke haath

    dukhtī rahī jo un kalā.ī tamām shab

    'hasrat' se kuchh vo aate aise hue ḳhafā

    phir ho sakī na un se safā.ī tamām shab

    hail thi bich mein jo razai tamam shab

    is gham se hum ko nind na aai tamam shab

    ki yas se hawas ne laDai tamam shab

    tum ne to KHub rah dikhai tamam shab

    phir bhi to KHatm ho na saki aarzu ki baat

    har chand hum ne un ko sunai tamam shab

    bebak milte hi jo hue hum to sharm se

    aankh us pari ne phir na milai tamam shab

    dil KHub jaanta hai ki tum kis KHayal se

    karte rahe adu ki burai tamam shab

    phir sham hi se kyun wo chale the chhuDa ke hath

    dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab

    'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue KHafa

    phir ho saki na un se safai tamam shab

    Tagged Under

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now