lipaT lipaT ke main us gul ke sath sota tha
lipaT lipaT ke maiñ us gul ke saath sotā thā
raqīb sub.h ko muñh āñsuoñ se dhotā thā
tamām raat thī aur kuhniyāñ o lāteñ thiiñ
na sone detā thā mujh ko na aap sotā thā
jo baat hijr kī aatī to apne dāman se
vo aañsū poñchhtā jaatā thā aur maiñ rotā thā
masaktī cholī to logoñ se chhup ke siine ko
vo taage baTtā thā aur maiñ suuī pirotā thā
ġharaz dikhāne ko aan o adā ke sau aalam
vo mujh se paañv dhulātā thā aur maiñ dhotā thā
liTā ke siine pe chanchal ko pyaar se har-dam
maiñ gudgudātā thā hañs hañs vo zo.af khotā thā
vo mujh pe pheñktā paanī kī kulliyāñ bhar bhar
maiñ us ke chhīñToñ se to pairahan bhigotā thā
nahāne jaate to phir aah kartī chhīñToñ se
vo ġhote detā thā aur maiñ use Dubotā thā
huā na mujh ko ḳhumār āḳhir un sharāboñ kā
'nazīr' aah isī roz ko maiñ rotā thā
lipaT lipaT ke main us gul ke sath sota tha
raqib subh ko munh aansuon se dhota tha
tamam raat thi aur kuhniyan o laten thin
na sone deta tha mujh ko na aap sota tha
jo baat hijr ki aati to apne daman se
wo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha
masakti choli to logon se chhup ke sine ko
wo tage baTta tha aur main sui pirota tha
gharaz dikhane ko aan o ada ke sau aalam
wo mujh se panw dhulata tha aur main dhota tha
liTa ke sine pe chanchal ko pyar se har-dam
main gudgudata tha hans hans wo zoaf khota tha
wo mujh pe phenkta pani ki kulliyan bhar bhar
main us ke chhinTon se to pairahan bhigota tha
nahane jate to phir aah karti chhinTon se
wo ghote deta tha aur main use Dubota tha
hua na mujh ko KHumar aaKHir un sharabon ka
'nazir' aah isi roz ko main rota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.