Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shoKHi-e-dard-e-dil-e-zar gul-e-naghma hai

Nirmal Nadeem

shoKHi-e-dard-e-dil-e-zar gul-e-naghma hai

Nirmal Nadeem

MORE BYNirmal Nadeem

    shoḳhī-e-dard-e-dil-e-zār gul-e-naġhma hai

    us har lahja-e-guftār gul-e-naġhma hai

    soī soī ḳhalāoñ ko ham-āġhosh karo

    qulzum-e-zaḳhm se bedār gul-e-naġhma hai

    ḳhvāb-e-imkān-e-vafā hai vo mujassam koī

    ham hue jis ke parastār gul-e-naġhma hai

    chāñdnī hai na.ī sham.a shagufta pur-nūr

    sar-tā-pā ishq shahkār gul-e-naġhma hai

    chāñd sūraj ye sitāre haiñ sharāre us ke

    us añgḌā.ī to anvār gul-e-naġhma hai

    shash-jihāt us ke haiñ aurāq-e-ziyā oḌhe hue

    muskurātā huā sansār gul-e-naġhma hai

    mauj-dar-mauj badan kartā hai jaadū jaise

    har adā us pur-asrār gul-e-naġhma hai

    aa.ina hai vo doshīza mohabbat misāl

    hoñT sho.ala hai to ruḳhsār gul-e-naġhma hai

    rishta-e-rūh ne bāñdhā hai hameñ kis ke 'nadīm'

    maiñ qalandar huuñ mirā yaar gul-e-naġhma hai

    shoKHi-e-dard-e-dil-e-zar gul-e-naghma hai

    us ka har lahja-e-guftar gul-e-naghma hai

    soi soi si KHalaon ko ham-aghosh karo

    qulzum-e-zaKHm se bedar gul-e-naghma hai

    KHwab-e-imkan-e-wafa hai wo mujassam koi

    hum hue jis ke parastar gul-e-naghma hai

    chandni ki hai nai shama shagufta pur-nur

    sar-ta-pa ishq ka shahkar gul-e-naghma hai

    chand suraj ye sitare hain sharare us ke

    us ki angDai to anwar gul-e-naghma hai

    shash-jihat us ke hain auraq-e-ziya oDhe hue

    muskuraata hua sansar gul-e-naghma hai

    mauj-dar-mauj badan karta hai jadu jaise

    har ada us ki pur-asrar gul-e-naghma hai

    aaina si hai wo doshiza mohabbat ki misal

    honT shoala hai to ruKHsar gul-e-naghma hai

    rishta-e-ruh ne bandha hai hamein kis ke 'nadim'

    main qalandar hun mera yar gul-e-naghma hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now