Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shukr ko shikwa-e-jafa samjhe

Munshi Banwari Lal Shola

shukr ko shikwa-e-jafa samjhe

Munshi Banwari Lal Shola

MORE BYMunshi Banwari Lal Shola

    shukr ko shikva-e-jafā samjhe

    kyā kahā maiñ ne aap kyā samjhe

    ham tirī baat nāsehā samjhe

    koī samjhe hue ko kyā samjhe

    marazul-maut ko shifā samjhe

    dard ko jaan davā samjhe

    is taḌapne mudda.ā samjhe

    dil-e-bad-ḳhū tujhe ḳhudā samjhe

    haa.e nādānī-e-sarishk na pūchh

    girya ko tarz-e-iltijā samjhe

    kar diye ik jahāñ ke but ḳhud-bīñ

    ai sikandar tujhe ḳhudā samjhe

    dard-angez suur āvāz

    dil shikastan ham sadā samjhe

    aur bigḌe mirī shikāyat se

    kuchh bhī mauqa na baat samjhe

    shikva-e-jaur par uThā.ī teġh

    vo mujhe jaan se ḳhafā samjhe

    kaun kartā hai aane va.ada

    ham tirī bandisheñ hinā samjhe

    haif nādānī-o-taġhāful-e-dil

    kyā tujhe aap se ḳhudā samjhe

    ġhair bheje hai us ko ḳhatt-e-visāl

    kaash merā likhā huā samjhe

    ruuh ke saiñkaḌoñ libās hue

    kis ko utrī huī qabā samjhe

    dil nākāmiyoñ se jaan ga.ī

    kis nikamme ko kaam samjhe

    'sho.ala' kal to mai-kade meñ the

    aaj tum kis ko pārsā samjhe

    shukr ko shikwa-e-jafa samjhe

    kya kaha main ne aap kya samjhe

    hum teri baat naseha samjhe

    koi samjhe hue ko kya samjhe

    marazul-maut ko shifa samjhe

    dard ko jaan ki dawa samjhe

    is taDapne ka muddaa samjhe

    dil-e-bad-KHu tujhe KHuda samjhe

    hae nadani-e-sarishk na puchh

    girya ko tarz-e-iltija samjhe

    kar diye ek jahan ke but KHud-bin

    ai sikandar tujhe KHuda samjhe

    dard-angez sur ki aawaz

    dil shikastan ki hum sada samjhe

    aur bigDe meri shikayat se

    kuchh bhi mauqa na baat ka samjhe

    shikwa-e-jaur par uThai tegh

    wo mujhe jaan se KHafa samjhe

    kaun karta hai aane ka wada

    hum teri bandishen hina samjhe

    haif nadani-o-taghaful-e-dil

    kya tujhe aap se KHuda samjhe

    ghair bheje hai us ko KHatt-e-visal

    kash mera likha hua samjhe

    ruh ke sainkaDon libas hue

    kis ko utri hui qaba samjhe

    dil ki nakaamiyon se jaan gai

    kis nikamme ko kaam ka samjhe

    'shoala' kal hi to mai-kade mein the

    aaj tum kis ko parsa samjhe

    Source:

    (Pg. 271)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now