Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shukriya hasti ka! lekin tumne ye kya kar diya

Seemab Akbarabadi

shukriya hasti ka! lekin tumne ye kya kar diya

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    shukriya hastī kaa! lekin tum ne ye kyā kar diyā

    parde parde meñ apnā raaz ifshā kar diyā

    maañg kar ham laa.e the allāh se ik dard-e-ishq

    vo bhī ab taqdīr ne auroñ hissa kar diyā

    do angāre the hāthoñ meñ ḳhudā-e-ishq ke

    ek ko dil ek ko merā kalejā kar diyā

    jab tajallī un barq-arzāniyoñ par aa ga.ī

    aable se dil ke paidā tūr-e-sīnā kar diyā

    apnī is vāraftagī-e-shauq mamnūn huuñ

    bār-hā mujh ko bharī mahfil meñ tanhā kar diyā

    vāqi.āt-e-ishq thā lamha lamha ik sadī

    har nafas meñ maiñ ne ik armān puurā kar diyā

    marhamat farmā ke ai 'sīmāb' ġham lazzateñ

    ziist talḳhī ko fitrat ne gavārā kar diyā

    shukriya hasti ka! lekin tum ne ye kya kar diya

    parde hi parde mein apna raaz ifsha kar diya

    mang kar hum lae the allah se ek dard-e-ishq

    wo bhi ab taqdir ne auron ka hissa kar diya

    do hi angare the hathon mein KHuda-e-ishq ke

    ek ko dil ek ko mera kaleja kar diya

    jab tajalli un ki barq-arzaniyon par aa gai

    aable se dil ke paida tur-e-sina kar diya

    apni is waraftagi-e-shauq ka mamnun hun

    bar-ha mujh ko bhari mahfil mein tanha kar diya

    waqiat-e-ishq ka tha lamha lamha ek sadi

    har nafas mein main ne ek arman pura kar diya

    marhamat farma ke ai 'simab' gham ki lazzaten

    zist ki talKHi ko fitrat ne gawara kar diya

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 44)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now