shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya
shumār-e-sub.ha marġhūb-e-but-e-mushkil-pasand aayā
tamāshā-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aayā
ba-faiz-e-be-dilī naumīdī-e-jāved āsāñ hai
kushāyish ko hamārā uqda-e-mushkil-pasand aayā
havā-e-sair-e-gul ā.īna-e-be-mehrī-e-qātil
ki andāz-e-ba-ḳhūñ-ġhaltīdan-e-bismil-pasand aayā
ravānī-hā-e-mauj-e-ḳhūn-e-bismil se Tapaktā hai
ki lutf-e-be-tahāshā-raftan-e-qātil-pasand aayā
'asad' har jā suḳhan ne tarh-e-bāġh-e-tāza Daalī hai
mujhe rañg-e-bahār-ījādi-e-be-dil-pasand aayā
savād chashm-e-bismil intiḳhāb-e-nuqta ārā.ī
ḳhirām-e-nāz be-parvā.ī-e-qātil pasand aayā
huī jis ko bahār-e-fursat-e-hastī se āgāhī
ba-rañg-e-lāla jām-e-bāda bar-mahal pasand aayā
shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya
tamasha-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aaya
ba-faiz-e-be-dili naumidi-e-jawed aasan hai
kushayish ko hamara uqda-e-mushkil-pasand aaya
hawa-e-sair-e-gul aaina-e-be-mehri-e-qatil
ki andaz-e-ba-KHun-ghaltidan-e-bismil-pasand aaya
rawani-ha-e-mauj-e-KHun-e-bismil se Tapakta hai
ki lutf-e-be-tahasha-raftan-e-qatil-pasand aaya
'asad' har ja suKHan ne tarh-e-bagh-e-taza Dali hai
mujhe rang-e-bahaar-ijadi-e-be-dil-pasand aaya
sawad chashm-e-bismil intiKHab-e-nuqta aarai
KHiram-e-naz be-parwai-e-qatil pasand aaya
hui jis ko bahaar-e-fursat-e-hasti se aagahi
ba-rang-e-lala jam-e-baada bar-mahal pasand aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.