Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai

Saleem Siddiqui

shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai

Saleem Siddiqui

MORE BYSaleem Siddiqui

    shurūa din se kisī sitāre uñgliyoñ meñ qalam nahīñ hai

    siyāh shab ke qadīm kāġhaz pe koī sūraj raqam nahīñ hai

    maiñ dasht-e-vahshat meñ raqs kartā to mujh pe shāyad ye raaz khultā

    ḳhirad hai muhtāj-e-āb-o-dāna junūñ asīr-e-shikam nahīñ hai

    vo ik samundar hai be-misālī meñ chand qatroñ ik savālī

    vo kam se kam bhī atā jo kar de bahut hai mujh ko vo kam nahīñ hai

    tumhārī āñkhoñ kyā karūñ maiñ tumhāre zehnoñ ko kyā kahūñ maiñ

    tabāh rātoñ dukh hai tum ko bujhe charāġhoñ ġham nahīñ hai

    maiñ raushnī ke chamakte shānoñ pe paañv rakh kar guzar rahā huuñ

    falak hai mere safar manzil zamīn zer-e-qadam nahīñ hai

    hamāre rone se us dil jo nahīñ pasījā to kyā shikāyat

    ki jis se poñchhe the ham ne aañsū vo āstīñ bhī to nam nahīñ hai

    maiñ is se pahle bhī kohsāroñ meñ apnā rastā banā chukā huuñ

    na.e pahāḌoñ se kah do kar ye merā pahlā janam nahīñ hai

    hamārī kashtī ke ek chappū pe yā-mohammad likhā huā hai

    hamārī kashtī se paar paa.e kisī samundar meñ dam nahīñ hai

    na koī girya na kuchh taġhāful jo TūTnā hai to TuuT jaa.e

    hamārī sāñsoñ Dor hai ye tumhāre sar qasam nahīñ hai

    shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai

    siyah shab ke qadim kaghaz pe koi suraj raqam nahin hai

    main dasht-e-wahshat mein raqs karta to mujh pe shayad ye raaz khulta

    KHirad hai muhtaj-e-ab-o-dana junun asir-e-shikam nahin hai

    wo ek samundar hai be-misali mein chand qatron ka ek sawali

    wo kam se kam bhi ata jo kar de bahut hai mujh ko wo kam nahin hai

    tumhaari aankhon ka kya karun main tumhaare zehnon ko kya kahun main

    tabah raaton ka dukh hai tum ko bujhe charaghon ka gham nahin hai

    main raushni ke chamakte shanon pe panw rakh kar guzar raha hun

    falak hai mere safar ki manzil zamin zer-e-qadam nahin hai

    hamare rone se us ka dil jo nahin pasija to kya shikayat

    ki jis se ponchhe the hum ne aansu wo aastin bhi to nam nahin hai

    main is se pahle bhi kohsaron mein apna rasta bana chuka hun

    nae pahaDon se kah do ja kar ye mera pahla janam nahin hai

    hamari kashti ke ek chappu pe ya-mohammad likha hua hai

    hamari kashti se par pae kisi samundar mein dam nahin hai

    na koi girya na kuchh taghaful jo TuTna hai to TuT jae

    hamari sanson ki Dor hai ye tumhaare sar ki qasam nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now