Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shurua hone ka matlab hi iKHtitam na ho

Hamza Yaqub

shurua hone ka matlab hi iKHtitam na ho

Hamza Yaqub

MORE BYHamza Yaqub

    shurūa hone matlab iḳhtitām na ho

    mirī shikast kahīñ tujh se intiqām na ho

    shanāḳht sab se baḌā nafsiyātī mas.ala hai

    maiñ chāhtā huuñ kisī shai koī naam na ho

    anā ziyāda zarūrī hai saañs nisbat

    sipāhī martā hai mar jaa.e par ġhulām na ho

    mujhe to dil ne ajab vasvasoñ meñ Daal diyā

    shikast-o-reḳht kisī tarz kalām na ho

    abhī talak vo mirī aañkh se nahīñ niklā

    na.e shikārī jangal meñ pahlī shaam na ho

    hamesha Thahrī huī shai nishāna bantī hai

    ḳhayāl rakhnā ki rah meñ kahīñ qiyām na ho

    sag-e-zamāna salīqe se aarī hai 'hamza'

    suḳhan-varī kisī darvesh kaam na ho

    shurua hone ka matlab hi iKHtitam na ho

    meri shikast kahin tujh se intiqam na ho

    shanaKHt sab se baDa nafsiyati masala hai

    main chahta hun kisi shai ka koi nam na ho

    ana ziyaada zaruri hai sans ki nisbat

    sipahi marta hai mar jae par ghulam na ho

    mujhe to dil ne ajab waswason mein Dal diya

    shikast-o-reKHt kisi tarz ka kalam na ho

    abhi talak wo meri aankh se nahin nikla

    nae shikari ki jangal mein pahli sham na ho

    hamesha Thahri hui shai nishana banti hai

    KHayal rakhna ki rah mein kahin qiyam na ho

    sag-e-zamana saliqe se aari hai 'hamza'

    suKHan-wari kisi darwesh ka hi kaam na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now