Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shuur-e-naghma ho to ham-nawa bhi milte hain

Salik Lakhnavi

shuur-e-naghma ho to ham-nawa bhi milte hain

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    shu.ūr-e-naġhma ho to ham-navā bhī milte haiñ

    kuchh aise giit haiñ jo be-sadā bhī milte haiñ

    kuchh aisī suunī nahīñ haiñ hayāt rāheñ

    kahīñ kahīñ to nishān-e-vafā bhī milte haiñ

    safar hai shart ki is ḳhār-zār-e-ālam meñ

    guloñ rang liye naqsh-e-pā bhī milte haiñ

    burā kaho na tum in rah-zanoñ ko ai yaaro

    inhīñ meñ apne ka.ī rahnumā bhī milte haiñ

    bhaTakne vāloñ ko dekho na tum hiqārat se

    inhīñ meñ 'sālik'-e-manzil-numā bhī milte haiñ

    shuur-e-naghma ho to ham-nawa bhi milte hain

    kuchh aise git hain jo be-sada bhi milte hain

    kuchh aisi suni nahin hain hayat ki rahen

    kahin kahin to nishan-e-wafa bhi milte hain

    safar hai shart ki is KHar-zar-e-alam mein

    gulon ka rang liye naqsh-e-pa bhi milte hain

    bura kaho na tum in rah-zanon ko ai yaro

    inhin mein apne kai rahnuma bhi milte hain

    bhaTakne walon ko dekho na tum hiqarat se

    inhin mein 'salik'-e-manzil-numa bhi milte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now