sidha-sada teri baaton ki tarah hota hai
sīdhā-sāda tirī bātoñ kī tarah hotā hai
dil kā māhaul bhī gaañv kī tarah hotā hai
baiTh jaate haiñ mire paas parinde aa kar
merā saaya bhī daraḳhtoñ kī tarah hotā hai
baat nasloñ se banā kartī hai shakloñ se nahīñ
rang shabnam kā bhī ashkoñ kī tarah hotā hai
'ain mumkin hai kisī zid meñ hī maarā jā.ūñ
aadmī 'ishq meñ bachchoñ kī tarah hotā hai
achchhā lagtā hai mujhe chāñd kī bāteñ sunñā
us kā lahja tirī āñkhoñ kī tarah hotā hai
sidha-sada teri baaton ki tarah hota hai
dil ka mahaul bhi ganw ki tarah hota hai
baiTh jate hain mere pas parinde aa kar
mera saya bhi daraKHton ki tarah hota hai
baat naslon se bana karti hai shaklon se nahin
rang shabnam ka bhi ashkon ki tarah hota hai
'ain mumkin hai kisi zid mein hi mara jaun
aadmi 'ishq mein bachchon ki tarah hota hai
achchha lagta hai mujhe chand ki baaten sunna
us ka lahja teri aankhon ki tarah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.