sidhi si baat hai jo mujhe jaanta nahin
sīdhī sī baat hai jo mujhe jāntā nahīñ
maiñ bhī phir aise shaḳhs ko pahchāntā nahīñ
pahle vo ḳhud-sarī thī ki suntā nahīñ thā maiñ
ab kuchh dinoñ se kuchh bhī burā māntā nahīñ
qātil agar hai vo to koī baat bhī to hai
yuuñ ḳhuun meñ libās koī sāntā nahīñ
sab ḳhūb-sūratī ke jharokoñ meñ haiñ magar
sīrat ko sūratoñ se koī chhāntā nahīñ
khul jaa.eñ jin se paañv kabhī sar vo chādareñ
rab ko bhī ilm hai maiñ kabhī tāñtā nahīñ
sidhi si baat hai jo mujhe jaanta nahin
main bhi phir aise shaKHs ko pahchanta nahin
pahle wo KHud-sari thi ki sunta nahin tha main
ab kuchh dinon se kuchh bhi bura manta nahin
qatil agar hai wo to koi baat bhi to hai
yun KHun mein libas koi santa nahin
sab KHub-surati ke jharokon mein hain magar
sirat ko suraton se koi chhanta nahin
khul jaen jin se panw kabhi sar wo chadaren
rab ko bhi ilm hai main kabhi tanta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.