Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sigha-e-raaz mein hai maqsad-e-taKHliq ka raaz

Sarfaraz Bazmi

sigha-e-raaz mein hai maqsad-e-taKHliq ka raaz

Sarfaraz Bazmi

MORE BYSarfaraz Bazmi

    sīġha-e-rāz meñ hai maqsad-e-taḳhlīq raaz

    lā-makāñ tak hai kahāñ murġh-e-ḳhirad parvāz

    be-surūrī haiñ asīrān-e-sharī.at ke sujūd

    be-huzūrī hai ġhulāmān-e-tarīqat namāz

    us āñkhoñ meñ ba-juz harf-e-duā kuchh bhī nahīñ

    jis ko qudrat ne atā thī nigāh-e-shahbāz

    ruuh samt baḌhā aatā hai rahvār-e-ajal

    har nafas Dūbtī sāñsoñ bikhartā huā saaz

    zaḳhm dete haiñ bahut nishtar-e-taqdīr ke ḳham

    dard detā hai bahut husn-e-ḳhamīda-andāz

    merī āñkhoñ meñ hai bas tāq-e-haram qindīl

    mere siine meñ faqat barq-e-tamannā-e-hijāz

    ek kotāh-nazar banda-e-nādāñ 'bazmī'

    rabb-e-kaunain ise nūr-e-basīrat se navāz

    sigha-e-raaz mein hai maqsad-e-taKHliq ka raaz

    la-makan tak hai kahan murgh-e-KHirad ki parwaz

    be-sururi hain asiran-e-shariat ke sujud

    be-huzuri hai ghulaman-e-tariqat ki namaz

    us ki aankhon mein ba-juz harf-e-dua kuchh bhi nahin

    jis ko qudrat ne ata ki thi nigah-e-shahbaz

    ruh ki samt baDha aata hai rahwar-e-ajal

    har nafas Dubti sanson ka bikharta hua saz

    zaKHm dete hain bahut nishtar-e-taqdir ke KHam

    dard deta hai bahut husn-e-KHamida-andaz

    meri aankhon mein hai bas taq-e-haram ki qindil

    mere sine mein faqat barq-e-tamanna-e-hijaz

    ek kotah-nazar banda-e-nadan 'bazmi'

    rabb-e-kaunain ise nur-e-basirat se nawaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now