Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

simab jal gaya to use gard boliye

Siraj Aurangabadi

simab jal gaya to use gard boliye

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    sīmāb jal gayā to use gard boliye

    āshiq fanā huā to use mard boliye

    sharbat kuuñ ḳhūn-e-dil ke piyo zahr ghūñT

    aisā tabīb kaañ hai jise dard boliye

    hai kyā kitāb-e-matla-e-anvār ruḳh tirā

    sūraj kuuñ jis yak varq-e-zard boliye

    jiyūñ hue haiñ mahv har yak rañg-e-gul meñ ham

    ai bulbulo sadā-e-anal-vard boliye

    albatta hove matl.a-e-dīvān āftāb

    tujh husn sifat meñ agar fard boliye

    baazī hai jaan hijr hai haar aur visāl jiit

    ġham hai bisāt-e-dil kuuñ mire nard boliye

    hai aag āshiqoñ dam-e-sard ai 'sirāj'

    aur aag lapaT kuuñ dam-e-sard boliye

    simab jal gaya to use gard boliye

    aashiq fana hua to use mard boliye

    sharbat kun KHun-e-dil ke piyo zahr ka sa ghunT

    aisa tabib kan hai jise dard boliye

    hai kya kitab-e-matla-e-anwar ruKH tera

    suraj kun jis ka yak warq-e-zard boliye

    jiyun bu hue hain mahw har yak rang-e-gul mein hum

    ai bulbulo sada-e-anal-ward boliye

    albatta howe matla-e-diwan aaftab

    tujh husn ki sifat mein agar fard boliye

    bazi hai jaan hijr hai haar aur visal jit

    gham hai bisat-e-dil kun mere nard boliye

    hai aag aashiqon ka dam-e-sard ai 'siraj'

    aur aag ki lapaT kun dam-e-sard boliye

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 583)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now