Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka

Ghulam Mohammad Qasir

sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    siina madfan ban jaatā hai jiite jāgte rāzoñ

    jāñchnā zaḳhmoñ gahrā.ī kaam nahīñ andāzoñ

    saarī chābiyāñ mere havāle kiiñ aur us ne itnā kahā

    āThoñ pahar hifāzat karnā shahr hai nau darvāzoñ

    sāmne āvāz se mere har ik rābte meñ haa.il

    daa.eñ baa.eñ phailā lashkar anjānī āvāzoñ

    āñkheñ aage baḌhnā chāheñ pīchhe rah jaatī hai nazar

    palkoñ jhālar pe numāyāñ kaam sitāra-sāzoñ

    yuuñ to ek zamāna guzrā dil-dariyā ko ḳhushk hue

    phir bhī kisī ne surāġh na paayā Duube hue jahāzoñ

    sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka

    jaanchna zaKHmon ki gahrai kaam nahin andazon ka

    sari chabiyan mere hawale kin aur us ne itna kaha

    aaThon pahar hifazat karna shahr hai nau darwazon ka

    samne ki aawaz se mere har ek rabte mein hail

    daen baen phaila lashkar anjaani aawazon ka

    aankhen aage baDhna chahen pichhe rah jati hai nazar

    palkon ki jhaalar pe numayan kaam sitara-sazon ka

    yun to ek zamana guzra dil-dariya ko KHushk hue

    phir bhi kisi ne suragh na paya Dube hue jahazon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now