Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sinchi hain maine kitni zaminen nai nai

Khalid Iqbal Yasir

sinchi hain maine kitni zaminen nai nai

Khalid Iqbal Yasir

MORE BYKhalid Iqbal Yasir

    sīñchī haiñ maiñ ne kitnī zamīneñ na.ī na.ī

    phūTīñ suḳhan ke peḌ se shāḳheñ na.ī na.ī

    pahle bhī kam nahīñ the nigah-dār damdame

    uThtī rahī haiñ fasīleñ na.ī na.ī

    garche haiñ āzmūda shah-o-qāzī-o-vazīr

    bāñdhī haiñ un se phir bhī ummīdeñ na.ī na.ī

    maidāñ meñ faisle huā karte the teġh par

    ab aur aur paiñtare chāleñ na.ī na.ī

    rasm-o-rivāj aur haiñ ab dīd-o-īd ke

    rāteñ vahī ghanerī haiñ ghāteñ na.ī na.ī

    yūñhī nahīñ badal rahīñ she.rī latāfateñ

    sīkhī haiñ mah-ruḳhoñ ne adā.eñ na.ī na.ī

    momin bhī taaza taaza hue vārid-e-bahisht

    ġhilmān bhī na.e na.e hūreñ na.ī na.ī

    dekhā jo us kure ko nikal kar madār se

    paidā huiiñ bayān meñ ramzeñ na.ī na.ī

    paidā karūñ mutābaqat in se maiñ kis tarah

    yāsir nayā zamāna hai socheñ na.ī na.ī

    sinchi hain main ne kitni zaminen nai nai

    phuTin suKHan ke peD se shaKHen nai nai

    pahle bhi kam nahin the nigah-dar damdame

    uThti hi ja rahi hain fasilen nai nai

    garche hain aazmuda shah-o-qazi-o-wazir

    bandhi hain un se phir bhi ummiden nai nai

    maidan mein faisle hua karte the tegh par

    ab aur aur paintare chaalen nai nai

    rasm-o-riwaj aur hain ab did-o-id ke

    raaten wahi ghaneri hain ghaten nai nai

    yunhi nahin badal rahin sheri latafaten

    sikhi hain mah-ruKHon ne adaen nai nai

    momin bhi taza taza hue warid-e-bahisht

    ghilman bhi nae nae huren nai nai

    dekha jo us kure ko nikal kar madar se

    paida huin bayan mein ramzen nai nai

    paida karun mutabaqat in se main kis tarah

    yasir naya zamana hai sochen nai nai

    Source:

    Tasteer (Pg. 442)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now