aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sile hon lab zabanen band to baaten nahin hotin

Nafeer Sarmadi

sile hon lab zabanen band to baaten nahin hotin

Nafeer Sarmadi

MORE BYNafeer Sarmadi

    sile hoñ lab zabāneñ band to bāteñ nahīñ hotīñ

    muḳhālif rāste hoñ to mulāqāteñ nahīñ hotīñ

    ye insānoñ pe insānoñ fauqiyyat ajab shai hai

    ragoñ dauḌtī surḳhī meñ to zāteñ nahīñ hotīñ

    likhī jaatī haiñ sañgīnoñ se āzādī tahrīreñ

    kahīñ ḳhud pesh āzādī sauġhāteñ nahīñ hotīñ

    jahāñ shab-ḳhūn maarā sake ḳhvābīda logoñ par

    kisī bedār millat meñ to vo rāteñ nahīñ hotīñ

    ghaTā se chhīnte haiñ īstāda koh bārish ko

    zamīñ par leTe sahrāoñ par barsāteñ nahīñ hotīñ

    'nafīr' is daur-e-ḳhud-āgāh insānoñ duniyā meñ

    kahīñ haavī javāñ mardoñ pe āfāteñ nahīñ hotīñ

    sile hon lab zabanen band to baaten nahin hotin

    muKHalif raste hon to mulaqaten nahin hotin

    ye insanon pe insanon ki fauqiyyat ajab shai hai

    ragon ki dauDti surKHi mein to zaten nahin hotin

    likhi jati hain sanginon se aazadi ki tahriren

    kahin KHud pesh aazadi ki saughaten nahin hotin

    jahan shab-KHun mara ja sake KHwabida logon par

    kisi bedar millat mein to wo raaten nahin hotin

    ghaTa se chhinte hain istada koh barish ko

    zamin par leTe sahraon par barsaten nahin hotin

    'nafir' is daur-e-KHud-agah insanon ki duniya mein

    kahin hawi jawan mardon pe aafaten nahin hotin

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 171)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now