Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega

Hamdoon Usmani

silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega

Hamdoon Usmani

MORE BYHamdoon Usmani

    silsila sāñsoñ yuuñ be-zābta ho jā.egā

    raat din piinā jehd-e-lā-baqā ho jā.egā

    juz-o-lā-yanfak rahe gar ziist ke karb-o-alam

    merā apnā aap kuchh ho ain ho jā.egā

    gar yūñhī īzā-kash-e-hālāt rahnā paḌā

    kuchh kuchh sab aur jaane kyā se kyā ho jā.egā

    ba.ad tere piiTh sūraj taraf karnī paḌī

    ho na ho ab mujh se saaya bhī judā ho jā.egā

    din-ba-din girte rahe aqdār to anjām-e-kār

    kal ko jo kuchh nā-ravā thā sab ravā ho jā.egā

    qāfile yādoñ ke yuuñ aate rahe to ek din

    qatra qatra āñsuoñ be-hayā ho jā.egā

    sirf ik jast-e-junūñ tak hai ye dasht īn-o-āñ

    ba.ad is ke jo bhī khoTā hai kharā ho jā.egā

    Duub jā.ūñgā kisī sāġhar meñ ik din merā kyā

    jis jo kuchh bhī hai mujh par vo adā ho jā.egā

    silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega

    raat din pina hi jehd-e-la-baqa ho jaega

    juz-o-la-yanfak rahe gar zist ke karb-o-alam

    mera apna aap kuchh ho ain la ho jaega

    gar yunhi iza-kash-e-haalat rahna hi paDa

    kuchh ka kuchh sab aur jaane kya se kya ho jaega

    baad tere piTh suraj ki taraf karni paDi

    ho na ho ab mujh se saya bhi juda ho jaega

    din-ba-din girte rahe aqdar to anjam-e-kar

    kal ko jo kuchh na-rawa tha sab rawa ho jaega

    qafile yaadon ke yun aate rahe to ek din

    qatra qatra aansuon ka be-haya ho jaega

    sirf ek jast-e-junun tak hai ye dasht in-o-an

    baad is ke jo bhi khoTa hai khara ho jaega

    Dub jaunga kisi saghar mein ek din mera kya

    jis ka jo kuchh bhi hai mujh par wo ada ho jaega

    Source:

    Iqra (Pg. 39)

      • Publisher: Urdu Writers Guild, Allahabad
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now