silsila-war talluq ko nibhate hue hum
silsila-vār ta'alluq ko nibhāte hue ham
tujh talak aa hī ga.e milte milāte hue ham
apnī āñkhoñ ko tire taaq meñ chhoḌ aa.e haiñ
ai hasīñ shaḳhs tire ḳhvāb se aate hue ham
'ālam-e-'ishq meñ ḳhaak aur ḳhudā ek hue
raat barsāt meñ ik saath nahāte hue ham
āḳhir-e-kār tire dil ke qarīñ aa hī ga.e
surḳh phūloñ kī sī dīvār uThāte hue ham
silsila-war ta'alluq ko nibhate hue hum
tujh talak aa hi gae milte milate hue hum
apni aankhon ko tere taq mein chhoD aae hain
ai hasin shaKHs tere KHwab se aate hue hum
'alam-e-'ishq mein KHak aur KHuda ek hue
raat barsat mein ek sath nahate hue hum
aaKHir-e-kar tere dil ke qarin aa hi gae
surKH phulon ki si diwar uThate hue hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.