Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

silsila ye azal se jari hai

Naveed Sarosh

silsila ye azal se jari hai

Naveed Sarosh

MORE BYNaveed Sarosh

    silsila ye azal se jaarī hai

    zindagī kyā hai zaḳhm-e-kārī hai

    maiñ jo aaya huuñ to samajh lo tum

    ye mohabbat bhī duniyā-dārī hai

    merī shohrat bhī thī bajā lekin

    terī jānib to ḳhalq saarī hai

    saaya aaseb hai bastī par

    raat aur din sabhī pe bhārī hai

    justujū meñ ho kis sargardāñ

    kis liye itnī be-qarārī hai

    fitratan ham baḌe bahādur haiñ

    iltizāman ye jang haarī hai

    kis liye chup ho kuchh batāo 'sarosh'

    kyoñ zabāñ bolne se aarī hai

    silsila ye azal se jari hai

    zindagi kya hai zaKHm-e-kari hai

    main jo aaya hun to samajh lo tum

    ye mohabbat bhi duniya-dari hai

    meri shohrat bhi thi baja lekin

    teri jaanib to KHalq sari hai

    saya aaseb ka hai basti par

    raat aur din sabhi pe bhaari hai

    justuju mein ho kis ki sargardan

    kis liye itni be-qarari hai

    fitratan hum baDe bahadur hain

    iltizaman ye jang haari hai

    kis liye chup ho kuchh batao 'sarosh'

    kyon zaban bolne se aari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now