Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

silsile sab ruk gae dil hath se jata raha

Aazim Kohli

silsile sab ruk gae dil hath se jata raha

Aazim Kohli

MORE BYAazim Kohli

    silsile sab ruk ga.e dil haath se jaatā rahā

    hijr dahlīz par ik dard lahrātā rahā

    qalb dāman junūñ meñ bhī na chhoḌā 'aql ne

    dhaḌkanoñ chaap sun kar mujh ko ḳhauf aatā rahā

    mas.ala us anā thā ki shohrat talab

    us har ehsān mujh par nekiyāñ Dhātā rahā

    maiñ rahā be-ḳhvāb ḳhvāboñ ke tilismī jaal meñ

    vo mirī nīñdeñ churā kar loriyāñ gaatā rahā

    sabr takrār thī josh o junūn-e-ishq se

    zindagī bhar dil mujhe maiñ dil ko samjhātā rahā

    roz aa kar merī khiḌkī meñ mire bachpan chāñd

    rakh ke sar ik niim Tahnī pe so jaatā rahā

    hijr ke bādal chhaTe jab dhuup chamkī 'ishq

    vasl ke āñgan meñ bhañvrā gul pe mañDlātā rahā

    zindagī bebāk ho kar tujh se aage baḌh ga.ī

    aur 'āzim' lakīroñ par itrātā rahā

    silsile sab ruk gae dil hath se jata raha

    hijr ki dahliz par ek dard lahraata raha

    qalb ka daman junun mein bhi na chhoDa 'aql ne

    dhaDkanon ki chap sun kar mujh ko KHauf aata raha

    masala us ki ana ka tha ki shohrat ki talab

    us ka har ehsan mujh par nekiyan Dhata raha

    main raha be-KHwab KHwabon ke tilismi jal mein

    wo meri ninden chura kar loriyan gata raha

    sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se

    zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha

    roz aa kar meri khiDki mein mere bachpan ka chand

    rakh ke sar ek nim ki Tahni pe so jata raha

    hijr ke baadal chhaTe jab dhup chamki 'ishq ki

    wasl ke aangan mein bhanwra gul pe manDlata raha

    zindagi bebak ho kar tujh se aage baDh gai

    aur 'azim' tu lakiron par hi itraata raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now