simTi hui faza thi bikharna muhaal tha
simTī huī fazā thī bikharnā muhāl thā
dam ghuT rahā thā aur mirā marnā muhāl thā
vo baat darj ho chukī thī āsmān pe
jo kah chuke the us se mukarnā muhāl thā
kyā āñkheñ thiiñ ki Dūbne meñ ek pal lagā
aur phir tamām 'umr ubharnā muhāl thā
is baar maiñ 'ajīb sī gahrā.iyoñ meñ thā
is baar merā paar utarnā muhāl thā
us se tavaqqu'āt thiiñ ham ko javāb kī
jis shaḳhs se savāl bhī karnā muhāl thā
simTi hui faza thi bikharna muhaal tha
dam ghuT raha tha aur mera marna muhaal tha
wo baat darj ho chuki thi aasman pe
jo kah chuke the us se mukarna muhaal tha
kya aankhen thin ki Dubne mein ek pal laga
aur phir tamam 'umr ubharna muhaal tha
is bar main 'ajib si gahraiyon mein tha
is bar mera par utarna muhaal tha
us se tawaqqu'at thin hum ko jawab ki
jis shaKHs se sawal bhi karna muhaal tha
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 82)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.