Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sinaon kis tarah un ko hai kaisi dastan meri

Raheemullah Shad

sinaon kis tarah un ko hai kaisi dastan meri

Raheemullah Shad

MORE BYRaheemullah Shad

    sināoñ kis tarah un ko hai kaisī dāstāñ merī

    kabhī merī zabāñ un kabhī un zabāñ merī

    hamesha zindagī zer-o-zabar bardāsht kartī hai

    guzartī rahī hai is tarah umr-e-ravāñ merī

    banāyā mo'atabar insāñ ko jis ne sajda karne par

    maiñ be-bahra rahūñ us se ye himmat hai kahāñ merī

    terī ghaTtī huī shohrat mujhe āgāh kartī hai

    kahīñ barsoñ mehnat ho na jaa.e rā.egāñ merī

    haqīqat meñ mohabbat zindagī ik qarīna hai

    na bikhrī aaj tak zebā.ish-e-kaun-o-makāñ merī

    sinaon kis tarah un ko hai kaisi dastan meri

    kabhi meri zaban un ki kabhi un ki zaban meri

    hamesha zindagi zer-o-zabar bardasht karti hai

    guzarti ja rahi hai is tarah umr-e-rawan meri

    banaya mo'atabar insan ko jis ne sajda karne par

    main be-bahra rahun us se ye himmat hai kahan meri

    teri ghaTti hui shohrat mujhe aagah karti hai

    kahin barson ki mehnat ho na jae raegan meri

    haqiqat mein mohabbat zindagi ka ek qarina hai

    na bikhri aaj tak zebaish-e-kaun-o-makan meri

    Source:

    (Pg. 103)

    • Author: Raheemullah Shad
      • Publisher: M. R. Publications, New Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now