sirf ghuTan kam kar jate hain
sirf ghuTan kam kar jaate haiñ
sab tūfān utar jaate haiñ
ye kuchh der ko milne vaale
kitnā tanhā kar jaate haiñ
vaqt kahāñ aage baḌhtā hai
haañ ham log guzar jaate haiñ
us ke bharose jiine vaale
kitne sukūñ se mar jaate haiñ
ham to is maḳhlūq se apne
rishte sun kar Dar jaate haiñ
sirf ghuTan kam kar jate hain
sab tufan utar jate hain
ye kuchh der ko milne wale
kitna tanha kar jate hain
waqt kahan aage baDhta hai
han hum log guzar jate hain
us ke bharose jine wale
kitne sukun se mar jate hain
hum to is maKHluq se apne
rishte sun kar Dar jate hain
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 35)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.