Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sirf ek larzish hai nok-e-Khaar par shabnam ki bund

Niyaz Fatehpuri

sirf ek larzish hai nok-e-Khaar par shabnam ki bund

Niyaz Fatehpuri

MORE BYNiyaz Fatehpuri

    sirf ik larzish hai nok-e-ḳhār par shabnam buuñd

    phir bhī is fursat par us mujh ko rashk aa jaa.e hai

    merī tanhā.ī na pūchho jaise koī naqsh-e-pā

    duur sahrā ke kisī goshe meñ paayā jaa.e hai

    sañg kyā hai bas sarāpā intizār-e-but-tarāsh

    zindagī ḳhvāb logo yuuñ bhī dekhā jaa.e hai

    shab vo pichhlā pahar aur phīkī phīkī chāñdnī

    raat bas kar jaise koī haar kumhlā jaa.e hai

    raat tanhā.iyāñ aur un aamad ḳhayāl

    chāñd jaise ruuh ke andar se guzrā jaa.e hai

    is sahī qad ḳhirām-e-nāz vo fitna hai jo

    har qadam par ik na.e sāñche meñ Dhaltā jaa.e hai

    ab ye hāl-e-dil hai jaise rakh ke kāñToñ par 'niyāz'

    reshmī chādar ko bedardī se khīñchā jaa.e hai

    sirf ek larzish hai nok-e-KHar par shabnam ki bund

    phir bhi is fursat par us ki mujh ko rashk aa jae hai

    meri tanhai na puchho jaise koi naqsh-e-pa

    dur sahra ke kisi goshe mein paya jae hai

    sang kya hai bas sarapa intizar-e-but-tarash

    zindagi ka KHwab logo yun bhi dekha jae hai

    shab ka wo pichhla pahar aur phiki phiki chandni

    raat bas kar jaise koi haar kumhla jae hai

    raat ki tanhaiyan aur un ki aamad ka KHayal

    chand jaise ruh ke andar se guzra jae hai

    is sahi qad ka KHiram-e-naz wo fitna hai jo

    har qadam par ek nae sanche mein Dhalta jae hai

    ab ye haal-e-dil hai jaise rakh ke kanTon par 'niyaz'

    reshmi chadar ko bedardi se khincha jae hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 138)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now