Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sisakta chiKHta ehsas tha mere andar

Aleem Saba Navedi

sisakta chiKHta ehsas tha mere andar

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    sisaktā chīḳhtā ehsās thā mire andar

    kabhī to jhāñk ke vo dekhtā mire andar

    kisī ke lams ḳhvāhish na fāsloñ kasak

    ye kaisā zahr uchhālā gayā mire andar

    vo ek shaḳhs jise DhūñDnā bhī mushkil thā

    baḌe ḳhulūs se rahne lagā mire andar

    lahū sūkhī huī jhiil meñ utar kar yuuñ

    talāsh kis ko vo kartā rahā mire andar

    ye merā dil bhī sarāpā mazār hai 'sabā'

    lagāo katba kisī naam mire andar

    sisakta chiKHta ehsas tha mere andar

    kabhi to jhank ke wo dekhta mere andar

    kisi ke lams ki KHwahish na faslon ki kasak

    ye kaisa zahr uchhaala gaya mere andar

    wo ek shaKHs jise DhunDna bhi mushkil tha

    baDe KHulus se rahne laga mere andar

    lahu ki sukhi hui jhil mein utar kar yun

    talash kis ko wo karta raha mere andar

    ye mera dil bhi sarapa mazar sa hai 'saba'

    lagao katba kisi nam ka mere andar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now