Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitam-dost fikr-e-adawat kahan tak

Azad Ansari

sitam-dost fikr-e-adawat kahan tak

Azad Ansari

MORE BYAzad Ansari

    sitam-dost fikr-e-adāvat kahāñ tak

    kahāñ tak vafā se baġhāvat kahāñ tak

    ḳhilāf-e-sulūk-e-mohabbat ke ḳhūgar

    ḳhilāf-e-sulūk-e-mohabbat kahāñ tak

    musalsal sitam hukūmat ke baanī

    musalsal sitam hukūmat kahāñ tak

    uTho dard justujū kar ke dekheñ

    talāsh-e-sukūn-e-tabī.at kahāñ tak

    kabhī hukm-e-pīr-e-muġhāñ bhī bajā

    faqat ittibā-e-sharī.at kahāñ tak

    kabhī kuchh natīja nikālo to jāneñ

    faqat ḳhabt-e-mālūm-o-illat kahāñ tak

    sitam-dost fikr-e-adawat kahan tak

    kahan tak wafa se baghawat kahan tak

    KHilaf-e-suluk-e-mohabbat ke KHugar

    KHilaf-e-suluk-e-mohabbat kahan tak

    musalsal sitam ki hukumat ke bani

    musalsal sitam ki hukumat kahan tak

    uTho dard ki justuju kar ke dekhen

    talash-e-sukun-e-tabiat kahan tak

    kabhi hukm-e-pir-e-mughan bhi baja la

    faqat ittiba-e-shariat kahan tak

    kabhi kuchh natija nikalo to jaanen

    faqat KHabt-e-malum-o-illat kahan tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now