Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitam ka tir jo hai wo teri kaman mein hai

Nazeer Meeruthy

sitam ka tir jo hai wo teri kaman mein hai

Nazeer Meeruthy

MORE BYNazeer Meeruthy

    sitam tiir jo hai vo tirī kamān meñ hai

    jo kah chukā huuñ maiñ vo mire bayān meñ hai

    maiñ ḳhālī jism ghar se nikal ke aayā huuñ

    mirī jo jaan hai ab bhī usī makān meñ hai

    isī liye to sabhī ham pe ho ga.e haavī

    ye phuuT aapsī jo apne ḳhāndān meñ hai

    mirī taraf jo ye dekhe to is se baat karūñ

    ye merā dost magar jaane kis ke dhyān meñ hai

    agar maiñ chāhūñ harīfoñ pe choT bhī kar duuñ

    suḳhan tiir ik aisā mirī kamān meñ hai

    ġhurūr-e-jism pe aur jaan pe are tauba

    na jaane miTTī putlā ye kis gumān meñ hai

    makāñ pe ke zarā is ke ThaaT dekh 'nazīr'

    gadā bhī aaj ye kitnī ān-bān meñ hai

    sitam ka tir jo hai wo teri kaman mein hai

    jo kah chuka hun main wo hi mere bayan mein hai

    main KHali jism hi ghar se nikal ke aaya hun

    meri jo jaan hai ab bhi usi makan mein hai

    isi liye to sabhi hum pe ho gae hawi

    ye phuT aapsi jo apne KHandan mein hai

    meri taraf jo ye dekhe to is se baat karun

    ye mera dost magar jaane kis ke dhyan mein hai

    agar main chahun harifon pe choT bhi kar dun

    suKHan ka tir ek aisa meri kaman mein hai

    ghurur-e-jism pe aur jaan pe are tauba

    na jaane miTTi ka putla ye kis guman mein hai

    makan pe ja ke zara is ke ThaT dekh 'nazir'

    gada bhi aaj ka ye kitni aan-ban mein hai

    Source:

    Kisht-e-Gul (Pg. 96)

    • Author: Nazeer Merathi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Edutational Publishing House
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now