sitam ke baad karam ki ada bhi KHub rahi
sitam ke ba.ad karam kī adā bhī ḳhuub rahī
jafā to ḳhair jafā thī vafā bhī ḳhuub rahī
ba-faiz-e-gardish-e-daurāñ unheñ bhī pyaar aayā
ba-pās-e-maslahat un kī razā bhī ḳhuub rahī
ba-sad-ḳhulūs qanā.at kī daad miltī hai
gadā-navāzī-e-ahl-e-saḳhā bhī ḳhuub rahī
lagī hai mohr muqaddar kī daane daane par
ye ḳhush-mazāqī-e-shān-e-ḳhudā bhī ḳhuub rahī
kahīñ shikam ke taqāze nazar nahīñ aate
charāġh-e-dair-o-haram kī ziyā bhī ḳhuub rahī
hamāre haath se aatī hai bū-e-pairāhan
hamāre husn-e-talab kī adā bhī ḳhuub rahī
sitam ke baad karam ki ada bhi KHub rahi
jafa to KHair jafa thi wafa bhi KHub rahi
ba-faiz-e-gardish-e-dauran unhen bhi pyar aaya
ba-pas-e-maslahat un ki raza bhi KHub rahi
ba-sad-KHulus qanaat ki dad milti hai
gada-nawazi-e-ahl-e-saKHa bhi KHub rahi
lagi hai mohr muqaddar ki dane dane par
ye KHush-mazaqi-e-shan-e-KHuda bhi KHub rahi
kahin shikam ke taqaze nazar nahin aate
charagh-e-dair-o-haram ki ziya bhi KHub rahi
hamare hath se aati hai bu-e-pairahan
hamare husn-e-talab ki ada bhi KHub rahi
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 245)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.