Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitamgar ko bhi ahl-e-dard ka ham-majra kar de

Sardar Panchhi

sitamgar ko bhi ahl-e-dard ka ham-majra kar de

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    sitamgar ko bhī ahl-e-dard ham-mājrā kar de

    ḳhudāyā dard-mandoñ use dard-āshnā kar de

    tahī-dāman vo kyoñ jis par tirī chashm-e-karam maulā

    dar-e-altāf kar de murād-e-dil atā kar de

    vo dīvāna giraftār-e-ġham-e-duniyā nahīñ hotā

    jise terā junūñ āzād-e-fikr-e-mā-sivā kar de

    bahut qīmtī tohfe ye hoñge ai mirī qismat

    mire ahbāb ke ranj-o-alam mujh ko atā kar de

    mohabbat hai use terī adā se bahr-e-tūfānī

    to ab tūfān ko kashtī mirī ham-navā kar de

    kahīñ mahrūm rah jaa.e na 'panchhī' terī baḳhshish se

    idhar bhī ehtimām-e-bāda-noshī sāqiyā kar de

    sitamgar ko bhi ahl-e-dard ka ham-majra kar de

    KHudaya dard-mandon ka use dard-ashna kar de

    tahi-daman wo kyon jis par teri chashm-e-karam maula

    dar-e-altaf wa kar de murad-e-dil ata kar de

    wo diwana giraftar-e-gham-e-duniya nahin hota

    jise tera junun aazad-e-fikr-e-ma-siwa kar de

    bahut hi qimti tohfe ye honge ai meri qismat

    mere ahbab ke ranj-o-alam mujh ko ata kar de

    mohabbat hai use teri ada se bahr-e-tufani

    to ab tufan ko kashti meri ka ham-nawa kar de

    kahin mahrum rah jae na 'panchhi' teri baKHshish se

    idhar bhi ehtimam-e-baada-noshi saqiya kar de

    Source:

    Abr-e-Rawan Ki Baazgasht (Pg. 53)

    • Author: Sardar Panchhi
      • Publisher: Broad Aarts, Kotla
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now