siwae mere yahan koi dusra to nahin
sivā.e mere yahāñ koī dūsrā to nahīñ
yahī maiñ sochtā rahtā huuñ koī thā to nahīñ
bas ik nigāh ne rasta banā liyā dil tak
ye sochtā huuñ mirā 'ishq mo'jiza to nahīñ
ik ajnabī sā jazīra pukārtā hai mujhe
tilism-e-gardish-e-daurāñ kā ye pata to nahīñ
ye fāsla bhī kisī faisle kī qīmat hai
ye ittifāq nahīñ hai ye hādisa to nahīñ
siwae mere yahan koi dusra to nahin
yahi main sochta rahta hun koi tha to nahin
bas ek nigah ne rasta bana liya dil tak
ye sochta hun mera 'ishq mo'jiza to nahin
ek ajnabi sa jazira pukarta hai mujhe
tilism-e-gardish-e-dauran ka ye pata to nahin
ye fasla bhi kisi faisle ki qimat hai
ye ittifaq nahin hai ye hadisa to nahin
- Book : Ishq (Pg. 124)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.