Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyah-KHana kabhi jalwa-gar sa lagta hai

Rajat Kumar

siyah-KHana kabhi jalwa-gar sa lagta hai

Rajat Kumar

MORE BYRajat Kumar

    siyāh-ḳhāna kabhī jalva-gar lagtā hai

    kaho kahāñ se ye vīrāna ghar lagtā hai

    ruke hue haiñ usī ''phir mileñge'' par ab tak

    kahā zabān us nazar lagtā hai

    chhupī hai kab koī bhī baat tum se par phir bhī

    vo baat kyā hai ki kahne meñ Dar lagtā hai

    ye aa.ine meñ mujhe dekhtā hai kaun bhalā

    ik arse se jo idhar se udhar lagtā hai

    jo jāntā hai ki vo jāntā nahīñ kuchh bhī

    vo be-ḳhabar mujhe bā-ḳhabar lagtā hai

    hai ḳhvāb-zār shikan-dar-shikan shikanja-bar

    pa us meñ naqsh tirā mo'atabar lagtā hai

    vo aur fasāna-e-kaun-o-makāñ vasī.a lage

    maiñ aur qissa ye kuchh muḳhtasar lagtā hai

    maqām-e-marg kahāñ koī āḳhirī manzil

    sire se rāh-e-fanā ke safar lagtā hai

    kisī tarah use anjām tak nahīñ laatā

    tamāshā-sāz zarā be-hunar lagtā hai

    siyah-KHana kabhi jalwa-gar sa lagta hai

    kaho kahan se ye virana ghar sa lagta hai

    ruke hue hain usi phir milenge par ab tak

    kaha zaban ka us ki nazar sa lagta hai

    chhupi hai kab koi bhi baat tum se par phir bhi

    wo baat kya hai ki kahne mein Dar sa lagta hai

    ye aaine mein mujhe dekhta hai kaun bhala

    ek arse se jo idhar se udhar sa lagta hai

    jo jaanta hai ki wo jaanta nahin kuchh bhi

    wo be-KHabar hi mujhe ba-KHabar sa lagta hai

    hai KHwab-zar shikan-dar-shikan shikanja-bar

    pa us mein naqsh tera mo'atabar sa lagta hai

    wo aur fasana-e-kaun-o-makan wasia lage

    main aur qissa ye kuchh muKHtasar sa lagta hai

    maqam-e-marg kahan koi aaKHiri manzil

    sire se rah-e-fana ke safar sa lagta hai

    kisi tarah use anjam tak nahin lata

    tamasha-saz zara be-hunar sa lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now